Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho, Meri Rago Mein Zehar Judaai Ka Utarata Dekho; Kis-Kis Ada Se Tujhe Manga Hai Khudaa Se, Aao Kabhi Mujhe Sazado Mein Siskata Dekho! |
Manzilon Se Begana Aaj Bhi Safar Mera; Hai Raat Besahar Meri, Dard Beasar Mera! |
Usne Mujhse Na Jane Kyon Yeh Doori Kar Li, Bichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhoori Kar Di; Mere Muqaddar Mein Dard Aaya Toh Kya Hua, Khuda Ne Uski Khwahish Toh Poori Kar Dai! |
Dard Ka Mere Yakeen Aap Karein Ya Na Karein; Intija Hai Ke Iss Raaz Ka Charcha Na Karein! |
Aagosh-e-Sitam Mein Chhupa Le Koi, Tanha Hun Tadapne Se Bacha Le Koi; Sookhi Hai Badi Der Se Palkon Ki Zubaan, Bas Aaj Toh Jee Bhar Ke Rula De Koi! |
Woh Kar Nahi Rahe The Meri Baat Ka Yakeen; Phir Yun Hua Ki Mar Ke Dikhana Pada Mujhe! |
Maut-o-Hasti Ki Kash-m-Kash Mein Kati Tamaam Umar; Gham Ne Jeene Na Diya Shaunk Ne Marne Na Diya! |
Teri Hi Just-Ju Mein Jee Li Ek Zindagi Maine; Gale Mujhko Laga Kar Khatam Saanson Ka Safar Kar De! |
Hazaar Baar Jo Maanga Karo Toh Kya Haasil; Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Nahi! |
Ae Gham-e-Zindagi Na Ho Naraaz; Mujh Ko Aadat Hai Muskuraane Ki! |