Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Banaane Mein; Tum Taras Nahi Khaate Bastiyan Jalaane Mein! |
Leke Tan Ke Naap Ko, Ghoome Basti Gaanv; Har Chaadar Ke Gher Se, Baahar Nikalay Paanv! |
Ab Yeh Bhi Nahin Theek Ki Har Dard Mita Dein; Kuch Dard Kaleje Se Lagaane Ke Liye Hain! |
Udne De In Parindon Ko Aazad Fiza Mein Ghalib; Jo Tere Apne Honge Woh Laut Aayenge Kisi Roz! |
Dil Se Mitna Tiri Agusht-e-Hinaai Ka Khyaal; Ho Geya Gosht Se Naakhun Ka Judaa Ho Jaana! |
Dekh Mujhe Toh Tarq-e-Talluk Ke Baawzood; Wo Muskura Diya Yeh Hunar Bhi Usi Ka Tha! |
Kisi Se Dil Nahi Milta Hai Ya Rabb; Hua Tha Kis Ghadi Un Se Juda Main! |
Arz-o-Sama Kahan Tiri Vusat Ko Paa Sake, Mera Hi Dil Hai Woh Ki Jahan Tu Sama Sake! |
Dil Ko Tiri Chaahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai; Aur Tujh Se Bichhad Jaane Ka Darr Bhi Nahi Jaata! |
Dard Humne Sambhala Hai Humne Aansu Bahaye Hain, Beshak Wajah Tum The Par Dil Toh Humara Tha! |