Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Hum Hain; Rukh Hawaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Hum Hain! |
Us Ko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha; Sara Ghar Le Gaya Ghar Chhod Ke Jaane Wala! |
Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi; Aao Kahin Sharab Piyen Raat Ho Gayi! |
Sikha Deti Hain Chalna Thokarein Bhi Raahgiron Ko; Koi Raasta Sada Dushwaar Ho Aisa Nahi Hota! |
Be-Nam Sa Ye Dard Thehar Kyon Nahi Jaata; Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyon Nahi Jaata! |
Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga; Wo Bhi Meri Hi Tarah Shahar Mein Tanha Hoga! |
Kahan Charagh Jalayen Kahan Gulab Rakhen; Chahaten To Milti Hain Lekin Makaan Nahi Milta! |
Bachchon Ke Chhote Hathon Ko Chand Sitare Chune Do; Char Kitabein Padh Kar Ye Bhi Hun Jaise Ho Jayenge! |
Dariya Ho Ya Pahad Ho Takrana Chahiye; Jab Tak Na Saans Toote Jiye Jana Chahiye! |
Har Aadmi Mein Hote Hain Dus Bees Aadmi; Jis Ko Bhi Dekhna Ho Kayi Baar Dekhna! |