Khud Se Roothun To Kayi Roz Na Khud Se Bolun; Phir Kisi Dard Ki Deewaar Se Lag Kar Ro Lun! |
Log Samajthe Hain Ki Humne Tumhein Bhula Rakha Hai; Ye Nahi Jaante Ki Kahin Dil Mein Chupa Rakha Hai; Dekh Na Le Koi Meri Aankhon Mein Tasvir Tumhari; Humne Apni Palkon Ko Is Kadar Jhuka Rakha Hai! |
Itna Anmol Tha Ki Khareed Na Saka Koi Hum Ko; Hairaan Hun Ki Tere Haathon Bika To Bika Kaise! |
Itni Nafrat Hai Usse Meri Mohabbat Se; Usne Apne Haath Jala Liye Meri Taqdeer Mitane Ke Liye! |
Main Bad-Dua to Nahi De Raha Hun Usko Magar; Dua Yahi Hai Use Mujh Jaisa Ab Koi Na Mile! |
Aatish-e-Gam Ke Siva Kuch Bhi Nahi De Sakte; Ashk-e-Paiham Ke Siva Kuch Bhi Nahi De Sakte; Tum Humein Bhool Hi Jaao Mere Adil Ab Toh; Hum Tumhe Gam Ke Siva Kuch Bhi Nahi De Sakte! |
Shayad Usse Azeez Thi Meri Udasiyan; Jaane Laga To Gham Bhi Mere Naam Kar Geya! |
Yeh Bhi Sach Hai Koi Ulfat Mein Pareshan Kyon Ho; Yeh Bhi Sach Hai Koi Kyon Kar Na Pareshan Ho Jaye! |
Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuch Itna Kho Chuka Hun Main; Ki Tu Mil Bhi Agar Jaaye To Ab Milne Ka Gham Hoga! |
Aukat Nahi Thi Zamane Mein Jo Meri Keemat Laga Sake; Kambakht Ishq Mein Kya Gire Hum Muft Mein Hi Neelaam Ho Gaye! |