Jhootha Muskurane Kee Ab To Aadat Ho Gayi Hai; Ye Zindagi Bhi Ab To Teri Yaadon Kee Ibaadat Ho Gayi Hai; Chal Rahi Hai Bas Saansein Ab To Iss Murda Jism Mein; Warna Rooh To Kab Kee Tere Saath Ruksat Ho Gayi Hai! |
Phir Aaj Ashk Se Aankhon Mein Kyon Hain Aaye Hue; Guzar Geya Hai Zamaana Tujhe Bhulaye Hue! |
Bas Iss Khayal Se Aansu Chupa Liye Humne; Udaas Reh Kar Kisi Ko Udaas Kya Karna! |
Ek Ajeeb Dastan Hai, Mere Afsane Kee; Maine Pal Pal Kee Koshish, Uske Pass Jaane Kee; Naseeb The Mere Ya, Sazish Zamane Kee; Door Hui Mujhse Utni, Jitni Umeed Thi Kareeb Aane Kee! |
Manzilon Se Begana Aaj Bhi Safar Mera; Raat Besahar Mere Dard Beasar Mera! |
Dil Na-Umeed To Nahi, Nakaam Hi To Hai; Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai! |
Dil Ke Rishton Ki Nazakat Woh Kya Jaane; Naram Lafzon Se Bhi Lag Jati Hai Chotein Aksar! |
Jiska Tum Puchte Ho Wo Mar Geya Shakhs; Usko Kisi Ki Yaad Ne Zinda Jala Diya! |
Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain; Main Shaad Hi sahi, Hoon To Kisi Ki Nigaah Mein! Shaad = Delighted/Cheerful |
Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale; Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale; Ek To Husn Bala Usspe Banawat Aafat; Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale! |