Jhootha Muskurane Kee Ab To Aadat Ho Gayi Hai; Ye Zindagi Bhi Ab To Teri Yaadon Kee Ibaadat Ho Gayi Hai; Chal Rahi Hai Bas Saansein Ab To Iss Murda Jism Mein; Warna Rooh To Kab Kee Tere Saath Ruksat Ho Gayi Hai! |
Hum Toh Samjhe The Ki Ek Zakhm Hai Bhar Jayega; Kya Khabar Thi Ki Rag-e-Jaan Mein Utar Jayega! |
Phir Aaj Ashk Se Aankhon Mein Kyon Hain Aaye Hue; Guzar Geya Hai Zamaana Tujhe Bhulaye Hue! |
Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Geya; Kuch Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gaye! |
Teri Badnaami Ka Darr Hai Warna; Kuch Aisa Likh Jaun Ki Teri Khamoshi Bhi Cheekh Uthe! |
Khuda Kee Raah Ka Jo Sailani Hota Hai; Ibadat Mein Uska Chehra Noorani Hota Hai; Sachha Pyaar Jo Karte Hain; Har Ehsaas Unka Roohani Hota Hai! |
Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuch Itna Kho Chuka Hun Main; Ki Tu Mil Bhi Agar Jaaye To Ab Milne Ka Gham Hoga! |
Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi; Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi! |
Apno Ki Chahat Se Bada Koi Dhokha Na Tha; Sahil Par Doobne Ka Bharosa Na Tha; Kanton Ne Zakhm Diya Hota To Koi Shikwa Na Hota; Phool Bhi Zakhmi Kar Denge Kabhi Socha Na Tha! |
Bas Iss Khayal Se Aansu Chupa Liye Humne; Udaas Reh Kar Kisi Ko Udaas Kya Karna! |