Kamaal Ka Shakhs Tha Jisne Zindagi Tabaah Kardi; Raaz Ki Baat Hai Dil Usse Aaj Bi Khafaa Nahi! |
Yeh Aur Baat Ki Chahat Ke Zakhm Gahre Hain; Tujhe Bhulane Ki Koshish Toh Warna Ki Hai Bahut! |
Maine Kaha Unse Chhod Do Ya Tod Do Mujhe; Muskura Kar Sitam Dhaya Unhone; Chhod To Diya Hi Hai Tum Ko; Toot Tum Khud-Ba-Khud Jaoge! |
Zaroori To Nahi Ki Shayari Wo Hi Kare Jo Ishq Mein Ho, Zindagi Bhi Kuch Zakham Bemisal Diya Karti Hai! |
Dard Hai Dil Mein Par Ehsaas Nahi Hota; Rota Hai Dil Jab Woh Pass Nahi Hota; Barbad Ho Gaye Hum Unki Mohabbat Mein; Aur Wo Kahte Hain Is Tarah Se Pyaar Nahi Hota! |
Chuppi Hai Kahin Hamdardi Mere Ghamon Ke Saath; Mil Gayi Hai Kisi Kee Kahani Meri Daastaan Ke Saath! |
Gar Zindagi Mein Mil Gaye Phir Ittefaq Se; Poochenge Apna Haal Teri Bebasi Se Hum! |
Dil Ki Khwahish Ko Naam Kya Doon; Pyaar Ka Usse Paigam Kya Doon; Is Dil Mein Dard Nahi Yaadein Hai Uski; Ab Yaadein Hi Mujhe Dard De Toh Usse Ilzam Kya Doon! |
Saza Humein Yeh Kaisi Mili Dil Lagane Ki; Ro Rahe Magar Tamanna Thi Muskurane Ki; Apna Dard Kise Dikhau Aye Dost; Dard Bhi Ussne Diya Jo Wajah Thi Muskurane Ki! |
Socha Tha Ki Woh Bahut Toot Kar Chahege Humein; Lekin Socha Bhi, Hum Ne Chaha Bhi Hum Ne, Aur Toot Bhi Hum Gaye! |