Ab Khushi Deke Azma Le Khuda; In Gamon Se To Main Mra Nahi! |
Jis Ko Shabnam Mile Na Hisse Ki; Phool Wo Adh-Khila Sa Hota Hai! |
Tumhein Aansoo Bahane Ko Bhi Mil Jaayen Kai Kandhe; Magar Mujh Ko Aziyyat Mein Pareshan Kaun Dekhega! |
Dil Ko Bhi Gham Ka Saleeqa Na Tha Pehle Pehle; Us Ko Bhi Bhoolna Achha Laga Pehle Pehle! |
Dil Samundar Tha Lekin Ye Tishna-Labi; Meri Qismat Mein Kis Roz Likhi Gayi! *Tishna-Labi: Having Parched Lips, Thirsty |
Koi Shai Dil Ko Bahlati Nahi Hai; Pareshani Ki Rutt Jaati Nahi Hai! *Shai: Things/Objects |
Ja Baithe Nadi Kinare Raat Aur Main; Donon Ik Duje Ke Sahare Raat Aur Main! |
Hamare Haath Se Wo Bhi Nikal Gaya Aakhir; Ki Jis Khayal Mein Hum Muddaton Se Khoye The! |
Mere Dukh Ki Dawa Bhi Rakhta Hai; Khud Ko Mujh Se Juda Bhi Rakhta Hai! |
Tum Jo Hote To Baat Kuch Hoti; Ab Ki Barish To Sarf Paani Hai! |