Sukoon-e-Dil Ko Naseeb Teri Berukhi Hi Sahi, Hamare Darmiyan Kuch To Rahega Chahe Fansla Hi Sahi! |
Yun Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Bimaar Ko, Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko! |
Paani Mein Tairna Seekh Lo Mere Dosto, Aankhon Mein Doobne Walon Ka Anjaam Bahut Bura Hota Hai! |
Kismat Ki Kitab To Badi Khoob Likhi Thi Meri Rabb Ne, Bas Wahi Panna Ghum Tha Jis Mein Ishq Ka Zikr Tha! |
Khudaa Jaane Bichhad Ke Mujhse Wo Kis Ka Humsafar Ho Geya, Hain Jis Ke Liye Muddat Se Muntazir Aakhein! |
Na Jaane Kis Liye Umeed-Vaar Baitha Hun, Ek Aisi Raah Pe Jo Teri Rahguzar Bhi Nahi! |
Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain; Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain; Kisi Tarha Zikar Na Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka; Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard Chupa Lete Hain! |
Iss Umar Ke Modh Par Sirf Mohabbat Chahiye; Botal Ka Sahara Toh Tamaam Zindagi Lete Rahe! |
Honthon Kee Hansi Ko Na Samajh Haqeeqat-e-Zindagi; Dil Mein Utar Ke Dekh Hum Kitne Toote Hue Hain! |
Hum Ishq Ke Maaron Ka Itna Hi Fasaana Hai; Rone Ko Nahi Koi Hansne Ko Zamana Hai! |