Agar Kuch Seekhna Hi Hai To Khamoshi Ko Padhna Seekh Lo; Warna Lafzon Ke Matlab Toh Hazaron Nikalte Hain! |
Rabb Se Aapki Khushi Mangte Hain, Duaon Mein Aapki Hansi Mangte Hain; Sochte Hain Kya Mangen Aapse, Chalo Umar Bhar Ki Mohabbat Mangte Hain! |
Kuch Aur Bhi Hain Kaam Humein Ai Gham-e-Jana, Kab Tak Koi Uljhi Hui Zulfon Ko Sanware! |
Woh Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi, Woh Mohabbat Hi Kya Jisme Yaadein Nahi, Woh Yaadein Hi Kya Jisme Tum Nahii, Aur Woh Tum Hi Kya Jiske Saath Hum Nahi! |
Akal Ko Tanqid Se Fursat Nahi; Ishq Par Aamal Ki Buniyaad Rakh! |
Abhi Aaye Abhi Jate Ho Jaldi Kya Hai Dam Le Lo; Na Chhodunga Main Jaisi Chahe Tum Mujh Se Kasam Le Lo! |
Maine Wahan Bhi Tujhe Manga Tha, Jahan Log Sirf Khushiyan Manga Karte Hain! |
Aarzu Hai Ki Tu Yahan Aaye; Aur Phir Umar Bhar Na Jaye Kahin! |
Aakhiri Hichki Tere Junoonn Pe Aaye; Maut Bhi Main Shairana Chahta Hun! |
Aablon Ka Shikwa Kya Thokaron Ka Gham Kaisa; Aadmi Mohabbat Mein Sab Ko Bhool Jata Hai! |