Tujhe Dekhu To Sara Jahaan Rangeen Nazar Aata Hai, Tere Bina Dil Ko Chain Kahan Aata Hai, Tum Hi Ho Mere Dil Kee Dhadkan, Tere Bina Ye Sansar Suna Suna Nazar Aata Hai! |
Mat Dekho Humein Tum Yun Is Tarah, Pyaar Tumehin Hoga Aur Ilzaam Hum Par Lagega! |
Kahan Ka Vasl Tanhai Ne Shayad Bhes Badla Hai; Tere Dam Bhar Ke Mil Jaane Ko Hum Bhi Kya Samajhte Hain! |
Mana Ki Kismat Pe Mera Jor Nahi, Par Meri Mohhabat Bhi Kamzor Nahi, Mana Ki Uske Dil-o-Dimag Mein Koi Aur Hai, Par Meri Saanso Mein Uske Siwa Koi Aur Nahi! |
Maloom Jo Hota Humein Anzaam-e-Mohabbat, Lete Na Kabhi Bhool Ke Hum Naam-e-Mohabaat! |
Itna Yaad Na Aaya Kar Ki Raat Bhar Na So Sake Hum, Subah Ko Surkh Aankhon Ka Sabab Puchte Hain Log! |
Sau Jaan Se Ho Jaunga Raazi Main Saza Par, Pehle Wo Mujhe Apna Gunahgar To Kar Le! |
Hum Unke Dil Par Raaj Karte The, Mera Dil Jinka Ghulam Aaj Bhi Hai! |
Yaad Nahi Kya Kya Dekha Tha Sare Manzar Bhool Gaye; Ush Ke Galiyon Se Jab Laute Apna Bhi Ghar Bhool Gaye; Khub Gaye Pardes Ki Apne Deewar-o-Dar Bhool Gaye; Sheesh-Mahal Ne Aisa Ghera Matti Ke Ghar Bhool Gaye! |
Kahin Sher-o-Nagma Ban Ke Kahin Aansuon Mein Dhal Ke, Wo Mujhe Mile To Lekin Kai Surtein Badal Ke! |