Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye; Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye; Kahan Se Dhoond Ke Laaun Charag Se Wo Badan; Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye! |
Khuda Ne Jab Tumhein Banaya Hoga; Uske Dil Mein Bhi Sukun Aaya Hoga; Socha Hoga Usne Ki Tumhein Apna Loon; Phir Use Mera Khayal Aaya Hoga! |
Wo Inkaar Karte Hain Iqraar Ke Liye; Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye; Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale Bhi; Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye! |
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale; Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale; Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Kee Yun; Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale! |
Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum; Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum; Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To; Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum! |
Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare; Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare; Jaan Ban Ke Utar Ja Uski Rooh Mein; Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare! |
Har Pal Hanske Jiya Karte Hain; Aap Se Dil Kee Har Baat Kiya Karte Hain; Bahut Khaas Ho Aap Hamare Liye; Isliye Har Waqt Aapko Yaad Kiya Karte Hain! |
Tera Intezar Mujhe Har Pal Rehta Hai; Har Lamha Mujhe Tera Ehsas Rehta Hai; Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain; Kyonki Tu Mere Dil Mein Meri Dhadkan Banke Rehta Hai! |
Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye; Jab Kisi Kee Hansi Kisi Kee Muskaan Ban Jaye; Pyaar Hi To Kehte Hain Use; Jab Kisi Kee Saanse Kisi Kee Jaan Ban Jaye! |
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |