Aandhi Hai Tez Dhul Se Ghar Aur At Na Jaaye; Toote Kivaad Band Karo Dam Ulat Na Jaaye! |
Main Apne Saath Koi Aisi Chaal Chal Jaaun; Har Ik Hisar Se Bachta Hua Nikal Jaaun! |
Dilkashi Naam Ko Bhi Alam-e-Imkan Mein Nahi; Apne Matlab Ka Koi Phool Gulistan Mein Nahi! |
Chand Taare Bana Ke Kaghaz Par; Khush Hue Ghar Saja Ke Kaghaz Par! |
Pehle Chingari Se Ik Shola Banata Hai Mujhe; Phir Wohi Tez Hawaon Se Darata Hai Mujhe! |
Naseeb Apna Sukhnavaron Mein Hamari Ginti Na Ho Sakegi; 'Umar' Adakar Hum Agar Ba-Kamal Hote Kamal Hote! |
Ghatayein Udi Udi Mai-Kada Bar-Dosh-e-Fasl-e-Gul; Na Jaane Laghzish-e-Tauba Se Imanon Pe Kya Guzri! |
Kabhi Firaq Kabhi Lazzat-e-Visal Mein Rakh; Mujh Etidal Se Aari Ko Etidal Mein Rakh! *Etidal: Moderation |
Mujhe Dil Ki Khata Par 'Yas' Sharmana Nahi Aata; Paraya Jurm Apne Naam Likhvana Nahin Aata! |
Sach Baat Kaun Hai Jo Sar-e-Aam Keh Sake; Main Keh Raha Hun Mujh Ko Saza Deni Chahiye! |