Ab Is Ghar Ki Abadi Mehmanon Par Hai; Koi Aa Jaaye To Waqt Guzar Jata Hai! |
Ab Hawayein Hi Karengi Roshni Ka Faisla; Jis Diye Mein Jaan Hogi Wo Diya Rah Jayega! |
Dekho Bhai Aisa Hai, Ye Dil Darpan Jaisa Hai; Mat Kehna Patthar Hum Ko, Ye Dil Mom Ke Jaisa Hai! |
Nigah Barq Nahi Chehra Aftab Nahi; Wo Aadmi Hai Magar Dekhne Ki Taab Nahin! |
Naye Daur Ke Naye Khwab Hain Naye Mausamo Ke Gulaab Hain; Ye Mohabbaton Ke Chirag Hain Inhe Nafraton Ki Hawa Na Den! |
Utho Ye Manzar-e-Shab-Taab Dekhne Ke Liye; Ki Neend Sharat Nahi Khwab Dekhne Ke Liye! *Manzar-e-Shab-Taab: Scene of bright night |
Ye Tum Se Kis Ne Kaha Hai Ki Dastan Na Kaho; Magar Khuda Ke Liye Itna Sach Yahan Na Kaho! |
Koi Dastak Na Koi Aahat Thi; Muddaton Vaham Ke Shikar The Hum! |
Aeeb Khwab Tha Hum Baag Mein Khade Hue The; Hamare Samne Phulon Ke Sar Pade Hue The! |
Ek Bujhao Ek Jalao Khwab Ka Kya Hai; Aankhon Mein Rakh Kar So Jao Khwab Ka Kya Hai! |