Hum Se Pehle Bhi Musafir Kayi Guzre Honge; Kam Se Kam Raah Ke Patthar To Hatate Jaate! |
Maza Chakha Ke Hi Mana Hun Main Bhi Duniya Ko; Samajh Rahi Thi Ki Aise Hi Chhod Dunga Use! |
Kya Koi Tasveer Ban Sakti Hai Surat Ke Baghair; Phir Kisi Se Kyon Mile Koi Zaroorat Ke Baghair! |
Jale Chirag Bujhane Ki Zidd Nahi Karte; Ab Aa Gaye Ho To Jaane Ki Zidd Nahi Karte! |
Andhera Itna Hai Ab Shehar Ke Muhafiz Ko; Har Ek Raat Koi Ghar Jalana Padta Hai! |
Jin Ke Aangan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai; Un Ka Har Aaib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai! |
Wo Kare Baat To Har Lafz Se Khushboo Aaye; Aisi Boli Wahi Bole Jise Urdu Aaye! |
Main To Masjid Se Chala Tha Kisi Kaaba Ki Taraf; Dukh To Ye Hai Ki Ibadat Meri Badnam Hui! |
Umar To Saari Kati Ishq-e-Butan Mein 'Momin'; Akhiri Waqt Mein Kya Khaak Musalman Honge! |
Kamar Bandhe Hue Chalne Ko Yaan Sab Yaar Baithe Hain; Bahut Aage gaye Baaki Jo Hain Tayaar Baithe Hain! |