Jab Bhi Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath; Jaane Kyon Log Mere Naam Se Jal Jaate Hain! |
Tera Wajud Gawahi Hai Mere Hone Ki; Main Apni Zaat Se Inkaar Kis Tarah Karta! * Wajud: Existence, Being, Life |
Ye Jaan Kar Bhi Ki Patthar Har Ek Haath Mein Hai; Jiyale Log Hain Sheeshon Ke Ghar Banate Hain! * Jiyale: Brave |
Ab Un Ki Khwab-Gahon Mein Koi Awaaz Mat Karna; Bahut Thak-Haar Kar Footpath Par Mazdoor Soye Hain! *Khwab-Gahon: Bedrooms |
Pyaar Koi Hansi Ya Khel Nahi; Aap Patthar Sa Phir Jigar Rakhiye! |
Hum Ne To Charaghon Ki Tarah Farz Nibhaya; Ab Raat Ki Kalak Ko Sahar Kaun Karega! |
Sari Basti Mein Ye Jadoo Nazar Aaye Mujhko; Jo Daricha Bhi Khule Tu Nazar Aaye Mujhko! |
Jahan Insaniyat Vahshat Ke Haathon Zabh Hoti Ho; Jahan Tazlil Hai Jeena Vahan Behtar Hai Mar Jana! * Zabh: Slaughter, Sacrifice * Tazlil: Humiliation |
Aaj Kal Aap Saath Chalte Nahi; Is Liye Log Hum Se Jalte Nahi! |
Mil Gaye The Ek Baar Us Ke Jo Mere Lab Se Lab; Umar Bhar Honhton Pe Apne Main Zubaan Phera Kiye! |