Guzar Kar Aadmi Rah-e-Musibat Se Sanvarta Hai; Qamar Ka Noor Shab Ki Zulmaton Mein Hi Nikharta Hai! |
Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli; Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe! |
Zahid To Bakhshe Jayen Gunahgar Munh Taken; Ai Rahmat-e-Khudaa Tujhe Aisa Na Chahiye! |
Hamari Jaat Mein Baste Sabhi Hain; Hum Achhe Hain To Phir Achhe Sabhi Hain! |
Andheron Ko Nikala Ja Raha Hai; Magar Ghar Se Ujala Ja Raha Hai! |
Chameli Ghaas Par Bikhri Padi Hai; Hawa Ye Baagh Mein Kaisi Chali Hai! |
Kya Tere Shehar Ke Insaan Hain Patthar Ki Tarah; Koi Nagma Koi Payal Koi Jhankar Nahi! |
Jeena Bhi Aa Gaya Mujhe Marna Bhi Aa Gaya; Pahchanne Laga Hoon Tumhaari Nazar Ko Main! |
Aaina Jab Bhi Ru-Ba-Ru Aaya; Apna Chehra Chhupa Liya Ham Ne! |
Ek Kami Thi Taj-Mahal Mein; Maine Teri Tasveer Laga Di! |