Qalib Ko Apne Chhod Ke Maqlub Ho Gaye; Kya Aur Koi Qalib Hai Is Inquilab Mein!! |
Teri Zameen Se Uthenge To Aasman Honge; Hum Aise Log Zamane Mein Phir Kahan Honge! |
Jaate Hue Nigah Idhar Kar Ke Dekh Lo; Hum Log Phir Kahan Humein Jee Bhar Ke Dekh Lo! |
Apni Baaton Ko Tolna Hoga; Yaani Suraj Ko Bolna Hoga! |
Pakka Raasta Kachchi Sadak Aur Phir Pagdandi; Jaise Koi Chalte Chalte Thak Jaata Hai! |
Nazar Aata Nahi Go Manzil-e-Maqsad Ka Nishan; Zauq-e-Sadiq Yahi Kehta Hai Ki Kuch Door Nahi! *Manzil-e-Maqsad: Destination Of Desire |
Note Dikhla Kar Use Hum Khench Laaye Apne Haan; Hum Na Kehte The Ki Paisa Qazi-ul-Hajat Hai! Meaning of Qazi-ul-Hajat |
Khuda Use Bhi Kisi Din Zaval Deta Hai; Zamana Jis Ke Hunar Ki Misal Deta Hai! |
'Mir'-Sahib Zamana Nazuk Hai; Donon Hathon Se Thamiye Dastar! |
Ye Mat Bhula Ki Yahan Jis Qadar Ujale Hain; Ye Aadmi Ne Andheron Se Hi Nikale Hain! |