Kabhi To Aankhon Mein Unki Aabadiyan Khilengi; Wo Bastiyan Umar Bhar Jinhe Zer-e-Aab Dekha! * Zer-e-Aab - Submerged |
Din Hua Hai To Raat Bhi Hogi, Ho Mat Udaas Kabhi To Baat Bhi Hogi; Itne Pyaar Se Dosti Ki Hai, Zindagi Rahi To Mulaqat Bhi Hogi! |
Khwahishon Ka Aadi Dil Kaash Ye Samajh Sakta; Ki Saans Toot Jaati Hai Ik Aas Toot Jaane Se! |
Dil De Toh Is Mizaz Ka Parvardigar De; Jo Ranj Ki Ghadi Bhi Khushi Se Guzar De! |
Door Rehne Wale Terko Ek Bat Kehna Chahta Hu; Agar Mera Khyal Aaye To Apna Khyal Rakhna! |
Mujhe Maloom Hai Mere Muqaddar Mein Tum Nahi Lekin, Meri Taqdeer Se Chhip Kar Mujhe Ek Baar Mil Jao |
Suno Waada Karo Mujhse Mujhe Kabhi Rulaoge Nahi; Halaat Chaahe Jo Bhi Ho Mujhe Bhulaoge Nahi! |
Woh Aa Gaye Milne Humse Ek Shaam Tanhayi Mitane; Aur Hum Samajh Baithe Ise Apni Duaaon Ka Asar! |
Tere Gham Ko Apni Rooh Mein Utaar Lun, Zindagi Teri Chahat Mein Sanwaar Lun; Mulaqaat Ho Tujhse Kuch Iss Tarah, Tamaam Umar Bas Ek Mulaqaat Mein Guzaar Lun! |
Aghaz-e-Mohabbat Ka Anjaam Bas Itna Hai; Jab Dil Mein Tamanna Thi Ab Dil Hi Tamanna Hai! |