Bahut Chaha Usko Jise Hum Pa Na Sake, Khayalon Mein Kisi Aur Ko La Na Sake; Usko Dekh Ke Aansu Toh Ponch Liye, Lekin Kisi Aur Ko Dekh Ke Muskura Na Sake! |
Kaash Use Chahne Ka Armaan Na Hota, Main Hosh Mein Rehte Hue Anjaan Na Hota; Na Pyaar Hota Kisi Patthar Dil Se Hum Ko, Ya Phir Koi Patthar Dil Insaan Na Hota! |
Hoshwalon Ko Khabar Kya Bekhudi Kya Cheez Hai, Ishq Kijiye Phir Samajhiye Zindagi Kya Cheez Hai! |
Tere Seene Se Lag Kar Teri Aarzoo Ban Jaaun, Teri Saanson Se Mil Kar Teri Khushboo Ban Jaaun, Faasle Na Rahein Koi Hum Dono Ke Darmiyaan, Main, Main Na Rahun Bas Tu Hi Tu Ban Jaaun! |
Har Shaam Ye Sawal, Mohabbat Se Kya Mila; Har Shaam Ye Jawab Ki Har Shaam Ro Paray! |
Parindon Ki Duniya Ka Darvesh Hun Main; Ke Shaheen Bnata Nahi Aashiyana! |
Jise Barish Ke Pani Mein Baha Kar Muskarate The; Mujhe Kaghaz Ki Woh Kashti Zara Phir Se Bana Dena! |
Chahta To Main Bhi Hun Ki Mila-Jhula Karun Main Sabse; Magar Mujh Mein Ik Shakhs Tanha Rehne Ki Zidd Karta Hai! |
Hum Kuch Isliye Bhi Rahe Junoon-e-Safar Mein; Woh Kisi Rahguzar Pe To Intezar Karta Hoga! |
Ik Aarzoo-Mand Nigaah Se Dekhte Rahe Usko; Yun Aarzoo Dar Aarzoo Zindagi Basar Karte Hue! |