Tum To Likhte Rahe Meri Aankhon Par Ghazal; Tumne Kabhi Pucha Ki Rote Kyon Ho! |
Hum Rone Pe Aa Jayein To Dariya Hi Baha Den; Shabnam Kee Tarah Se Humein Rona Nahi Aata! |
Jo Aag Lagayi Thi Tum Ne Us Ko To Bujhaya Ashkon Ne; Jo Ashkon Ne Bhadkayi Hai Us Aag Ko Thanda Kaun Kare!c |
Wapsi Ka Safar Ab Mumkin Na Hoga; Hum Toh Nikal Chuke Hain Aankh Se Aansu Ki Tarha! |
Jo Aata Hai Khushi Ki Inteha Par; Bahut Roye The Us Aansu Ki Khatir! |
Aansuon Ko Peena Purani Aadat Hai Meri; Mujhe Logon Ko Apna Gham Dikhana Nahi Aata! |
Tu Ishq Ki Doosri Nishani De De Mujhko, Aansu To Roz Gir Ke Sukh Jate Hain! |
Taras Aata Hai Mujhe Masoom Si Palkon Par; Jab Bheeg Kar Kehti Hain Ki Ab Aur Roya Nahi Jata! |
Ashk Tapak Jaate Hain Rone Se Pehle, Sapne Toot Jate Hain Sone Se Pehle, Sab Kehte Hain Ki Ishq Ek Bhool Hai, Kaash Koi Rok Leta Yeh Bhool Karne Se Pehle! |
Hum Apna Dard Kisi Ko Kehte Nahi, Woh Sochte Hain Ki Hum Tanhayi Sehte Nahi, Aankhon Se Aansu Nikle Bhi To Kaise, Kyonki Sookhe Hue Dariya Kabhi Behte Nahi! |