Ashkon Ke Guhar Yun Sar-e-Mizhgan Bhi Na Tolen; In Aankhon Se Keh Do Ki Abhi Raaz Na Kholen! |
Udaas Naina Jo Baraste Hain Sahab Ki Tarah; To Gham Ke Phool Bhi Mehakte Hain Gulab Ki Tarah! |
Ban Ke Hasrat Sama Gaya Ik Shakhs; Mujh Ko Aansu Bana Gaya Ik Shakhs! |
Ye Na Kahiye Ki Meri Aankh Se Tapka Aansu; Chhodiye Bhi Koi Toota Hua Tara Hoga! |
Tar-Damani Pe Shaikh Hamari Na Jaiyo; Daman Nichod Den To Farishte Vazu Karen! |
Dil Mein Ik Dard Utha Aankhon Mein Aansu Bhar Aaye; Baithe Baithe Humein Kya Janiye Kya Yaad Aaya! |
Hazaron Ashk Meri Aankhon Ki Hirasat Mein The; Bas Kuch Yaad Aaya Aur Sab Ko Jamanat Mil Gayi! |
Woh Roye Toh Bahut Par Mujhse Muh Mod Kar Roye, Koi Mazboori Hogi Jo Dil Tod Kar Roye; Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer Ke Tukde, Pata Chala Mere Peeche Woh Unhe Jod Kar Roye! |
Aankh Ki Ek Hasrat Thi Jo Poori Hui; Aansuon Mein Bheeg Jane Ki Khwahish Poori Hui! |
Qabar Ke Sannate Mein Ek Awaaz Aayi; Kisne Phool Rakh Kar Aansuon Ki Do Boond Bahayi! |