Ek Aansu Bhi Hukumat Ke Liye Khatra Hai; Tum Ne Dekha Nahi Aankhon Ka Samundar Hona! |
Aankhon Se Aansuon Ke Marasim Purane Hain; Mehman Ye Ghar Mein Aayen To Chubhta Nahi Dhuan! |
Itne Aansu To Na The Deeda-e-Tar Ke Aage; Ab To Paani Hi Bhara Rehta Hai Ghar Ke Aage! |
Qismat Ajeeb Khel Dikhati Chali Gayi; Jo Hans Rahe The Un Ko Rulati Chali Gayi! |
Aankh Mein Paani Rakho Honthon Pe Chingari Rakhoo; Zinda Rehna Hai To Tarkeebein Bahut Saari Rakho! |
Tere Labon Ko Mili Hai Shaguftagi Gul Ki; Hamari Aankh Ke Hisse Mein Jharne Aaye Hain! |
Kitnon Ko Jigar Ka Zakhm Seete Dekha, Dekha Jise Khoon-e-Dil Hi Peete Dekha; Ab Tak Rote The Marne Walon Ko Aur Ab, Hum Ro Diye Jab Kisi Ko Jeete Dekha! |
Vaise To Ik Aansu Hi Baha Kar Mujhe Le Jaye; Aise Koi Toofan Hila Bhi Nahi Sakta! |
Rone Wale Tujhe Rone Ka Saleeqa Hi Nahi; Ashk Peene Ke Liye Hain Ki Bahane Ke Liye! |
Kabhi Khud Par Kabhi Halaat Pe Rona Aaya; Baat Nikli To Har Ek Baat Pe Rona Aaya! |