Kitne Tohfe Deti Hai Yeh Mohabbat Bhi; Ruswai Alag Judai Alag Tanhai Alag! |
Rone Ki Sazaa Hai Na Rulaane Ki Sazaa Hai; Yeh Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Sazaa Hai; Hanste Hain Toh Aankhon Se Nikalte Hain Aansoo; Yeh Uss Shakhs Se Dil Lagaane Ki Sazaa Hai! |
Ek Do Roz Ka Sadma Ho To Ro Len 'Fakir'; Hum Ko Har Roz Ke Sadmaat Ne Rone Na Diya! Sadma: Shock |
Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khist Dard Se Bahar Na Aaye Kyon, Royenge Hum Hazaar Baar Koi Humein Sataye Kyon! |
Na Jaane Aakhir In Aansuon Par Kya Guzri; Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Magar Beh Na Sake! |
Woh Ashk Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai; Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai! Chashm-e-Tar = Eyes Filled with Tears, Wet Eyes |
Bhar Aayi Meri Aankhein Jab Uska Naam Aaya, Ishq Nakaam Sahi Phir Bhi Bahut Kaam Aaya; Humne Mohabbat Mein Aisi Bhi Guzaari Kayi Raatein, Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko Aaram Na Aaya |
Kaun Kahta Hai Ki Aasoun Mein Wajan Nahi Hota; Ek Bhi Chhalak Jata Hai Toh Mann Halka Ho Jaata Hai! |
Lagta Hai Main Bhool Chuka Hu Muskarane Ka Hunar; Koshish Jab Bhi Karta Hu Aashu Aa Hi Jate Hain! |
Ashk Hi Mere Din Hain Ashk Hi Meri Raatein; Ashkon Mein Hi Ghuli Hain Wo Beeti Huyi Baatein! |