Dil Lagi Thi Useh Hum Se Mohabbat Kab Thi; Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi; Hum The Mohabbat Main Lot Jane K Qabil; Ush Ke Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi! |
Bar Bar Zindagi Ko Ajmaea Hai Hammne; Har Pal Har Lamha Sirf Gum Paya Hai Hammne; Dil Ke Tukre Ushi Ne Kie Hai Hamare; Dil Ki Gehraion Mein Jishe Basaea Hai Hammne! |
Wo Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi; Jis Raat Rukhsat Unki Barat Hogi; Uth Jaate Hai Yeh Soch Kar Neend Se Aksar; K Kisi Gair Ki Bahon Mein Hamari Saari Kainat Hogi! |
Hum Ne Iqbal Ka Kaha Maana; Aur Faaqon Ke Haathon Marte Rahe; Jhukne Waalon Ne Rifatein Paaein; Hum Khudi Ko Buland Karte Rahe! |
Bekhabar Tujhe Kya Khabar; Teri Aankhon Mai Kaisa Jamal Hai; Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar; Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai! |
Unke Honthon Pe Mera Naam Jab Aya Hoga; Khud ko Ruswaie Se Phir Kaise Bachaya Hoga; Sun ke Fasana Auro Se Meri Barbadi Ka; Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga! |
Jaane Kyu Log Hamhe Aajmate Hai; Kuch Pal Sath Rahne Ke Baad Dur Chale Jate Hai; Sach Hi Kahte Hai Log Ki Sagar Ke Milne Ke Baad; Log Barish Ko Bhul Jate Hai! |
Palko Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi; Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi; Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho; Hum Hai Ki Ek Umar Se Soye Hi Nahi! |
Jane Kya Soch Ke Lehrein Sahil Se Takrati Hain; Aur Phir Se Vapis Laut Jati Hain; Samaj Nahi Ata Ke Woh Kinaro Se Bewafai Karti Hain; Ya Phir Laut Ke Samandar Se Wafa Nibhati Hain! |
Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum; Ek Ishare Par Duniya Chor Jaate Hum; Samnder Ke Beech Mein Pahunch Kar Fareb Kiya Usne; Wo Kehta To Kinare Par Hi Doob Jaate Hum! |