Jeene Ka Haq Saamraj Ne Cheen Liya, Utho Marne Ka Haq Istemal Karo; Zillat Ke Jeene Se Marna Behtar Hai, Mit Jao Ya Qasr-e Sitam Pamal Karo! |
Ana Ki Mauj Masti Mein Abhi Bhi Badshah Hain Hum; Jo Hum Ko Tod Deta Hai, Hum Us Ko Chodd Dete Hain! |
Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan; Main Dil Ko Us Muqaam Pe Lata Chala Gaya! |
Zara Chup-Chap Toh Baitho Ki Dum Aaram Se Nikle; Idhar Hum Hichki Lete Hain Udhar Tum Rone Lagte Ho! |
Nigahon Se Qatal Kar De Na Ho Takleef Dono Ko; Tujhe Khanjar Uthane Ki Mujhe Gardan Jhukane Ki! |
Na Jaane Iss Zid Ka Nateeja Kya Hoga, Samjhata Dil Bhi Nahi Main Bhi Nahi Tum Bhi Nahi! |
Udaas Kar Deti Hai Har Roz Yeh Shaam Mujhe; Lagta Hai Tu Bhool Raha Hai Mujhe Dheere-Dheere! |
Woh Jo Humse Nafrat Karte Hain, Hum Toh Aaj Bhi Sirf Un Par Marte Hain; Nafrat Hai To Kya Hua Yaaron, Kuch Toh Hai Jo Wo Sirf Humse Karte Hai! |
Udta Hua Gubaar Sar-e-Raah Dekh Kar, Anjaam Humne Ishq Ka Socha Toh Ro Diye; Baadal Fiza Mein Aapki Tasvir Ban Gaye, Saaya Koi Khayal Se Gujra To Ro Diye! |
Patthar Liye Har Mod Pe Kuchh Log Khade Hain; Is Shahar Mein Kitane Hai Mere Chaahane Waale! |