Sazaa Dene Wale Razaa Puchte Hain, Jeene Ki Humse Vajah Puchte Hain, Dete Hain Khud Hi Zeher Humko Aakar, Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain! |
Aziyat Musibat Mlamat Balayen, Tere Ishq Mein Hum Ne Kya Kya Na Dekha! |
Ajab Paheliyan Hain Haathon Ki Lakeeron Mein, Safar Hi Safar Likha Hai Humsafar Koi Nahi! |
Woh Roz Dekhta Hai Doobte Hue Suraj Ko 'Faraz'; Kaash Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota! |
Aaine Kee Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye, Jaane Ab Kya Kya Dikhayega Tumhaara Dekhna! |
Har Roz Koi Khwaab Toot Jata Hai; Har Roz Koi Apna Rooth Jata Hai; Na Jaane Meri Qismat Mein Kya Hai; Jise Main Yaad Karun Wohi Mujhe Bhool Jata Hai! |
Na Kar Zidd Apni Aukat Mein Reh Ai Nadaan Dil; Woh Bade Log Hain Apne Shaunk Se Yaad Karte Hain! |
Apni Tamanna Se Kabhi Kuch Nahi Chaha Tha Hum Ne, Uss Ki Khushi Dhundhte Rahe Toh Badnaam Ho Gaye! |
Door Rehne Wale Tumhein Ek Baat Kehna Chahta Hun, Agar Mera Khyaal Aaye Toh Apna Khyaal Rakhna! |
Lafz Bhee Jis Ahd Mein Kho Baithe Apna Aitbaar; Khamoshi Ko Is Mein Kitna Motabar Maine Kiya! Lafz: Words Ahd: Time, Period Aitbaar: Trust Khamoshi: Silence Motabar: Reliable, Trustworthy |