Dagh-e-Dil Shab Ko Jo Banta Hai Charagh-e-Dahleez; Roshni Ghar Mein Mere Rehti Hai Andar Bahar! |
Kya Sitam Hai Ki Ab Teri Surat; Ghaur Karne Pe Yaad Aati Hai! |
Humein Bhi Neend Aa Jayegi Hum Bhi So Hi Jayenge; Abhi Kuch Be-Qarari Hai Sitaro Tum To So Jaao! |
Likhi Thi Us Ne Mohabbat Ki Be-Qarari Aur; Wo Jo Bhi Likh Na Saka Harf Harf Sach Nikla! |
Har Kaam Ka Waqt Muqarrar Hai Har Kaam Ko Waqt Pe Hona Hai; Kis Baat Ki Aakhir Jaldi Hai Kis Baat Ka Phir Ye Rona Hai! |
Mar-Mite Jab Se Hum Us Dushman-e-Din Par Sahab; Paanv Tikte Hi Nahi Apne Zameen Par Sahab! |
Umar Ke Lambe Safar Se Tazurba Aisa Mila; Dhoop Jab Bhi Sar Pe Aayi Lapata Saaya Mila! |
Yun Doob Gaya Hun Teri Aankhon Ke Bhanwar Mein; Ab Mere Safine Ko Kinara Nahi Milta! *Safine: Boats |
Kaise Kahen Ki Tujh Ko Bhi Hum Se Hai Vaasta Koi; Tune To Hum Se Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya! |
Na Jaane Kyon Hamare Dil Ko Tum Ne Dil Nahi Samjha; Ye Sheesha Tod Daala Pyaar Ke Qabil Nahi Samjha! |