Use Bhi Jaate Hue Tum Ne Mujh Se Cheen Liya; Tumhara Gham To Meri Aarzoo Ka Zevar Tha! |
Aarzoo Teri Barqarar Rahe; Dil Ka Kya Hai Raha Raha Na Raha! |
Buri Baat Unko Hamari Lage; Humein Unki Har Baat Pyaari Lage! |
Kab Lauta Hai Behta Paani Bichhda Sajan Rootha Dost; Hum Ne Us Ko Apna Jaana Jab Tak Haath Mein Daman Tha! |
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi; Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malal Bhi! |
Ilahi Kya Ilaqa Hai Woh Jab Leta Hai Angdayi; Mere Seene Mein Sab Zakhmon Ke Tanke Toot Jaate Hain! |
Use Bechain Kar Jaunga Main Bhi; Khamoshi Se Guzar Jaunga Main Bhi! |
Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga; Wo Bhi Meri Hi Tarah Shahar Mein Tanha Hoga! |
Ek Tarz-e-Taghaful Hai So Wo Un Ko Mubarak; Ek Arz-e-Tamanna Hai So Hum Karte Rahenge! *Tarz-e-Taghaful: Style Of Ignorance |
Awaaz De Ke Dekh Lo Shayad Woh Mil Hi Jaye; Varna Ye Umar Bhar Ka Safar Rayegan To Hai! |