Zakhm Itna Gehra Hai Izhaar Kya Karein, Hum Khud Nishan Ban Gaye Auron Ka Kya Karein; Mar Gaye Hum Magar Khuli Rahi Aankhein, Kyonki Hamari Aankhon Ko Unka Intezar Hai! |
Thak Thak Ke Band Hote Hain Chashme Intzaar; Aata Hai Sab Ko Khyaal Tumhare Khyaal Se! |
Kisi Roz Hogi Roshan, Meri Bhi Zindgi; Intezaar Subah Ka Nahi Kisi Ke Laut Aane Ka Hai! |
Palkon Par Ruka Hai Samandar Khumaar Ka, Kitna Ajab Nasha Hai Tere Intezaar Ka! |
Teri Hi Justju Mein Jee Lee Ek Zindagi Maine, Gale Mujhko Lagakar Khatam Saanson Ka Safar Kar De! |
Hadood Waqt Se Bahar Ajab Hisaar Mein Hun; Main Ek Lamha Hun Sadiyon Ke Intezaar Mein Hun! |
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai; Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai! |
Dil Jalao Ya Diye Aankhon Ke Darwaze Par; Waqt Se Pehle Toh Aate Nahi Aane Wale! |
Mere Dil Ki Ummeedon Ka Haunsla To Dekho; Intezaar Uska Hai Jise Mera Ehsaas Tak Nahi! |
Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge; Shab-e Firaaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne! |