Khyal Aata Hai Jab Bhi Uska Chehra; To Labon Pe Aksar Fariyad Aati Hai; Bhool Jata Hun Saare Gham Aur Sitam Uske; Jab Bhi Uski Thodi Si Mohabbat Yaad Aati Hai! |
Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski; Padi Hui Thi Mujhe Kitni Aadatein Uski; Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata; Mujhe To Raah Dikhaati Thi Chahatein Uski! |
Tere Bina Tutkar Bikhar Jayenge; Tum Mil Gaye To Gulshan Ki Tarah Khil Jayenge; Tum Na Mile To Jeete Ji Mar Jayenge; Tumhe Paa Liya To Mar Ke Bhi Jee Jayenge! |
Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Kalm 'Faraz'; Main Pyaar Likhun To Tera Naam Likha Jata Hai! |
Khamosh Hothon Ka Agar Ishara Mil Jaaye; In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye; Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain; Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye! |
Saans Lene Se Bhi Teri Yaad Aati Hai; Har Saans Mein Teri Khushboo Bas Jati Hai; Kaise Kahoon Ki Saans Se Main Zinda Hun; Jab Ki Saans Se Pehle Teri Yaad Aati Hai! |
Din, Mahine, Saalon Ka Hisaab Nahi Aata Mujhe; Hamesha Se Hamesha Tak Saath Tumhara Chahiye! |
Chale Gaye Ho Door Kuch Pal Ke Liye; Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Har Pal Ke Liye; Kaise Yaad Na Aaye Aapki Ek Pal Ke Liye; Jab Dil Mein Rehte Ho Aap Har Pal Ke Liye! |
Wo Jo Aaye To Meri Zindagi Ko Zindagi Mili; Dil Ke Viraan Shagufo Ko Phir Se Taazgi Mili; Faila Hua Hai Noor Is Kadar Khaksaar Se Unke; Gham-e-Zulmato Ko Unke Hi Dum Se Roshni Mili! |
Kabhi Lafz Bhool Jaun Kabhi Baat Bhool Jaun; Tujhe Is Kadar Main Chahun Ki Apni Zaat Bhool Jaun; Uth Kar Jo Kabhi Tere Paas se Chal Dun To; Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun! |