Tujhe Tarash Ke Main Sakht Munfaeil Hun, Ki Log Tujhe Sanam, To Samajhne Lage Khuda Mujh Ko! Tarash: Carving, cutting with skill Munfaeil: shamed Sanam: Idol |
Yeh Jo Pani Mein Sunehera Garoor Utar Aaya Hai; Zaroor Usne Pani Mein Payu Utara Hoga! |
Jaise Meri Nigaah Ne Dekha Na Ho Kabhi; Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar! |
Us Ke Daaman Mein Bhi Zakhmon Ke Siva Kuch Na Mila; Humne Jis Shaqs Ko Samjha Tha Maseeha Sabka! Daaman: Lower portion of a shirt or a coat Maseeha: Saviour |
Uthti Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf; Paband Kar Gayi Hai Kisi Ki Nazar Mujhe! |
Zikr Jab Chhidd Geya Qayamat Ka; Baat Pahunchi Teri Jawani Tak! |
Chaman Mein Shab Ko Jo Woh Shokh Be-Naqab Aaya, Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya; Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya, Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijab Aaya! |
Meri Khushi Ki Muddat Itni Hai Faraz, Guzar Jati Hai Mere Muskurane Se Pehle! |
Jaan Tujh Par Nisaar Karta Hoon; Main Nahin Jaanta Dua Kya Hai! |
Sab Kuch Jaante Hue Bhi Dil Maanta Na Tha; Hum Jaane Aitbaar Ke Kis Merhale Mein The! |