Shab-e-Visaal Bahut Kam Hai Aasman Se Kaho; Ki Jod De Koi Tukda Shab-e-Judaai Ka! Shab-e-Vidaal: The night of union Shab-e-Judaai: The night of separation |
Jab Tak Mile Na The Judaai Ka Tha Malaal; Ab Ye Malaal Hai Ki Tamanna Nikal Gayi! |
Jiski Aankhon Mein Kati Thi Sadiyan; Usne Sadiyon Ki Judai Di Hai! |
Taqleef Mein Tu Bhi Hai; Dard Mein Main Bhi Hun; Tujhe Gham Hai Mujhe Chahne Ka; Mujhe Khauf Hai Tujhse Judaa Hone Ka! |
Ho Judai Ka Sabab Kuch Bhi Magar; Hum Use Apni Khata Kehte Hain; Woh To Saanson Mein Dhali Hai Mere; Jaane Kyon Log Use Mujhse Judaa Kehte Hain! |
Mujhe Khud Par Itna To Yaqeen Hai; Koi Mujhe Chor To Sakta Hai Magar Bhula Nahi Sakta! |
Keh Do Usse Judaai Aziz Hai Toh Rooth Jaaein; Woh Jee Sakta Hain Toh Hum Mar Bhi Sakte Hain! |
Mile To Hazaron Log The Zindagi Main Yaaron; Woh Sab Se ALag Tha Jo Qismat Main Nahi Tha! |
Na Jane Kyun Yeh Dil Mera Itni Faryad Karta Hai; Jo Iska Ho Nahi Skta Ussi Ko Yaad Karta Hai! |
Duniya Ke Jo Maze Hain Hargiz Woh Kam Na Honge; Charche Yoon Hi Rahenge Afsos Hum Na Honge! |