Rukh-e-Roshan Ke Aage Shama Rakh Kar Woh Yeh Kehte Hain, Udhar Jata Hai Dekhe Ya Idhar Aata Hai Parwana! |
Ab Judaai Ke Safar Ko Mere Aasan Karo, Tum Mujhe Khwab Mein Aa Kar Na Pareshan Karo! |
Tere Lehje Ki Thakan Mein Tera Dil Bhi Shamil Hai; Aisa Lagta Hai Judaai Ki Ghadi Aa Gayi Dost! Lehja: Tone, Accent Thakan: Tiredness Judai: Separation |
Haseen Khwab Dikha Ke Bhool Jaate Hain, Log Apna Bana Ke Bhool Jaate Hain; Judaai Ka Naam Sun Ke Rone Wale, Kuch Door Ja Ke Bhool Jaate Hain! |
Teri Aankhon Se Yun Toh Saagar Bhi Piye Hain Maine; Tujhe Kya Khabar Judaai Kee Din Kaise Jiye Hain Maine! |
Itna Betaab Na Ho Mujhse Bichhadne Ke Liye, Tujhe Aankhon Se Nahi Mere Dil Se Juda Hona Hai! |
Mujhse Na Pooch Meri Tanhai Ka Aalam, Har Raat Mujh Pe Ek Qayamat Guzarti Hai! |
Kya Raabta Kisi Ki Judaai Se Mera, Bharta Hi Nahi Dil Kabhi Tanhai Se Mera! |
Chod To Diya Mujhe Par Yeh Socha Hai Kabhi Tumne; Ab Jab Bhi Jhooth Bologi Toh Kasam Kiski Khaogi! |
Pass Reh Kar Judaai Ki Tujh Se; Door Ho Kar Tuje Talaash Kiya; Maine Tera Nishaan Gum Kar Ke; Apne Andar Tujhe Talaash Kiya! |