Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi; Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi; Jee Chahta Hai Ke Aapko Roz Dekhun Par; Woh Waqt Kabhi Aata Nahi! |
Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai; Nazrein Bhi Kabhi Dhokha De Jati Hain; Guzre Hue Lamhon Ko Yaad Karke Dekhiye; Tanhai Bhi Kabhi Kabhi Sukoon De Jati Hai! |
Khul Jata Hai Teri Yaadon Ka Bazaar Subah-Subah; Aur Isi Raunak Mein Mera Din Guzar Jata Hai! |
Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na So Sakun; Yaad Phir Aayi Hai Neendoon Ko Udaane Wali! |
Sabhi Naghme Saaz Mein Gaaye Nahi Jate; Sabhi Log Mehfil Mein Bulae Nahi Jate; Kuch Pass Reh Kar Bhi Yaad Nahi Aate; Kuch Dur Rehkar Bhi Bhulaye Nahi Jate! |
Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Ḳhali Ki Surat Dekh Kar; Jin Ko Likhna Tha Woh Sab Batein Zubani Ho Gayin! |
Kya Rog De Gayi Hai Yeh Naye Mausam Ki Barish; Mujhe Yaad Aa Rahe Hain Mujhe Bhool Jane Waley! |
Khushboo Jaise Log Mile Afsanon Mein; Aaj Jab Ek Purana Khat Khola Anjaane Mein! |
Lafzon Mein Uljhana Nahi Aata; Baat Saaf Hai Ki Bahut Yaad Aa Rahe Ho Tum! |
Teri Yaadon Ke Chiragon Ko Jalaya Har Shaam, Teri Baaton Ko Seene Se Lagaya Har Shaam, Maangi Khuda Se Teri Khushi Ki Duayein, Tanha Baith Ke Haatho Ko Uthaaya Har Shaam! |