Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi; Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi; Jee Chahta Hai Ke Aapko Roz Dekhun Par; Woh Waqt Kabhi Aata Nahi! |
Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai; Nazrein Bhi Kabhi Dhokha De Jati Hain; Guzre Hue Lamhon Ko Yaad Karke Dekhiye; Tanhai Bhi Kabhi Kabhi Sukoon De Jati Hai! |
Khul Jata Hai Teri Yaadon Ka Bazaar Subah-Subah; Aur Isi Raunak Mein Mera Din Guzar Jata Hai! |
Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na So Sakun; Yaad Phir Aayi Hai Neendoon Ko Udaane Wali! |
Kuch Meethi Si Thandak Hai Aaj In Hawaon Mein, Shayad Teri Yaadon Se Bhara Daraaz Khula Reh Geya Hai! |
Zindagi Ki Har Fizaon Mein Yaad Rakhna; Dil Ki Sadaon Mein Yaad Rakhna; Yeh Tohfa Bohat Hai Mere Liye; Khaloos-e-Dil Se Duaon Mein Yaad Rakhna! |
Jinki Yaad Hai Dil Me Nishaani Ki Tarah; Woh To Bhool Gaye Hume Kahani Ki Tarah! |
Sabhi Naghme Saaz Mein Gaaye Nahi Jate; Sabhi Log Mehfil Mein Bulae Nahi Jate; Kuch Pass Reh Kar Bhi Yaad Nahi Aate; Kuch Dur Rehkar Bhi Bhulaye Nahi Jate! |
Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Ḳhali Ki Surat Dekh Kar; Jin Ko Likhna Tha Woh Sab Batein Zubani Ho Gayin! |
Kya Rog De Gayi Hai Yeh Naye Mausam Ki Barish; Mujhe Yaad Aa Rahe Hain Mujhe Bhool Jane Waley! |