Wahi Hai Zindagi Lekin Jigar Yeh Haal Hai Apna; Ki Kaise Zindagi Se Zindagi Kam Hoti Jaati Hai! |
Dil Toh Karta Hai Zindagi Ko Kisi Qaatil Ke Hawaale Kar Dun; Judaai Mein Yun Roz-Roz Ka Marna Mujhe Achhaa Nahi Lagta! |
Zindagi Kehta Hai Mujhe Mera Chahne Wala; Kya Use Mera Aitbaar Nahi Hai! |
Nafratein Laakh Mili Par Mohabbat Na Mili, Zindagi Beet Gayi Magar Rahat Na Mili; Teri Mehfil Mein Har Ek Ko Hansta Dekha, Ek Main Tha Jise Hansne Ki Izazat Na Mili! |
Woh Nafratein Paale Rahe Hum Pyaar Nibhate Rahe, Lo Yeh Zindagi Bhi Kat Gayi Khaali Haath Si! |
Teri Dhadkan Hi Zindagi Ka Qissa Hai Mera, Tu Zindagi Ka Ek Aham Hissa Hai Mera, Meri Mohabbat Tujhse Sirf Lafzo Ki Nahi Hai, Teri Rooh Se Rooh Tak Ka Rishta Hai Mera! |
Pyaar Toh Zindgi Ko Sajaane Ke Liye Hai, Par Zindgi Bas Dard Badhane Ke Liye Hai; Mere Andar Ki Udaasi Kash Koi Padh Le, Ye Hansta Hua Chehra To Zamane Ke Liye Hai! |
Ajab Tzad Mein Kata Hai Zindagi Ka Safar; Labon Pe Pyaas Thi, Badal The Sir Pe Chaye Hue! |
Kehte Hain Jeete Hain Umeed Pe Log; Hum Ko Jeene Ki Bhi Umeed Nahi! |
Dard-o-Gham Hijr-o-Firaaq Gauhar Hain Hayat Ke; Bas Sakoon Se Jo Guzar Jaye, Zindagi Nahi! |