Maut Ko Jab Aana Tha Aa Hi Gayi; Zindagi Ki Tarah Usne Dhokha Nahi Diya! |
Fir Kar Na Baithe Meri Zindagi Ki Dua Koi; Mere Dushman Mere Janaze Mein Tum Shamil Rehna! |
Raah Mein Nikale The Ki Yeh Soch Kar Kisi Ko Bana Lenge Apna; Magar Is Khwahish Ne Zindagi Bhar Ka Musafir Bana Diya! |
Aur Zindagi Se Koi Aas Na Rakhi Humne; Paane Ke Baad Tumhein Koi Pyaas Na Rakhi Humne! |
Chehre Ki Hasi Se Har Gham Chupao, Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao; Khud Na Rootho Kabhi Par Sab Ko Manao, Yeh Raaz Hai Zindagi Ka, Bas Jeete Jao! |
Hai Ajeeb Shehar Ki Zindagi Na Safar Raha Na Kayaam Hai, Kahin Karobaar Si Dopehar Kahin Badmizaaz Si Shaam Hai! |
Ek Musht-e-Khaaq Aur Woh Bhi Hawa Ke Zad Mein Hai; Zindagi Ki Bebasi Ka Istiyaara Dekhna! Musht-e-Khaaq: A fist full of dust Zad: Control, Hold Istiyaara: Metaphor |
Khushi Takdiron Mein Honi Chahiye; Tasviron Mein Toh Har Koi Khush Nazar Aata Hai! |
Main Bataun Farq Naseh Jo Hai Mujh Mein Aur Tujh Mein; Meri Zindagi Talatum Teri Zindagi Kinara! Naseh: Advisor Talatum: High Tide. Upsurge Of Waves |
Jo Khushi Hai Fani Toh Gham Bhi Fani; Na Ye Javedani Na Woh Javedani! Fani: Mortal Javedani: Immortal, Forever, Eternal |