Ghazal Shayari

  • Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa:

    Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa,
    Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;

    Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh,
    Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa;

    Pehle Se Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi To,
    Rasm-o-Rah-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa;

    Kis Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Hum,
    Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa;

    Ik Umar Se Hun Lazzat-e-Girya Se Bhi Mehrum,
    Ai Rqhat-e-Jan Mujh Ko Rulane Ke Liye Aa;

    Ab Tak Dil-e-Khush-Fahm Ko Tujh Se Hain Ummeedein,
    Ye Aakhiri Shamein Bhi Bujhane Ke Liye Aa!
    ~ Ahmad Faraz
  • Hum Se Pucho Ki Ghazal Kya Hai Ghazal Ka Fan Kya;<br/>
Chand Lafzon Mein Koi Aag Chuppa Di Jaye!Upload to Facebook
    Hum Se Pucho Ki Ghazal Kya Hai Ghazal Ka Fan Kya;
    Chand Lafzon Mein Koi Aag Chuppa Di Jaye!
    ~ Jaan Nisar Akhtar
  • Dil Giraftaa Hi Sahi:

    Dil Giraftaa Hi Sahi Bazm Saja Li Jaye,
    Yaad-e-Janan Se Koi Shaam Na Khaali Jaye;

    Rafta-Rafta Yahi Zandaan Mein Badal Jate Hain,
    Ab Kisi Shehar Ki Buniyaad Na Daali Jaye;

    Mushaf-e-Rukh Hai Kisi Ka Ki Beyaaz-e-Hafiz,
    Aise Chehre Se Kabhi Faal Nikaali Jaye;

    Woh Murawwat Se Mila Hai To Jhukadun Gardan,
    Mere Dushman Ka Koi Waar Na Khaali Jaaye;

    Be-Nawaa Shehar Ka Saaya Hai Mere Dil Pe 'Faraz',
    Kis Tarah Se Meri Aashufta Khyaali Jaye!
    ~ Ahmad Faraz
  • Dilon Mein Aag:

    Dilon Mein Aag Labon Pe Gulaab Rakhte Hain,
    Sab Apne Chehron Pe Dohre Naqaab Rakhte Hain;

    Humein Chirag Samajh Kar Bujha Na Paaoge,
    Hum Apne Ghar Mein Kayi Aaftaab Rakhte Hain;

    Bahut Se Log Ke Jo Harf-Aashna Bhi Nahi,
    Isee Mein Khush Hain Ke Teri Kitaab Rakhte Hain;

    Ye Maiqada Hai, Wo Masjid Hai, Wo Hai But-Khana,
    Kahin Bhi Jaao Farishte Hisaab Rakhte Hain;

    Humare Shahar Ke Manjar Na Dekh Payenge,
    Yahan Ke Log Aankhon Mein Khwab Rakhte Hain!
    ~ Rahat Indori
  • Kabhi Aisi Toh Na Thi:

    Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi Toh Na Thi,
    Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi Toh Na Thi;

    Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar,
    Be-Qarari Tujhe Ae Dil Kabhi Aisi Toh Na Thi;

    Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadoo,
    Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi Toh Na Thi;

    Kya Sbab Tu Jo Bigarta Hai Zafar Se Har Bar,
    Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi Toh Na Thi!
    ~ Bahadur Shah Zafar
  • Charde Suraj:

    Charde Suraj Dhalde Vekhe,
    Bhuje Deewe Balde Vekhe;

    Heere Da Koi Mull Na Taare,
    Khote Sikke Chalde Vekhe;

    Jinha Da Na Jag Te Koi,
    Oh Vi Puttar Palde Vekhe;

    Ohdi Rehmat De Nal Bande,
    Pani Utte Chalde Vekhe;

    Loki Kehnde Daal Nahi Galdim,
    Main Te Patthar Galde Vekhe!
    ~ Bulleh Shah
  • Itni Bechaini Se Tumko:

    Itni Bechaini Se Tumko Kiski Talaash Hai,
    Woh Kaun Hai Jo Teri Aankhon Ki Pyaas Hai;

    Jabse Mila Hun Tumse Yehi Sochta Hun Main,
    Kyon Mere Dil Ko Ho Raha Tera Ehsaas Hai;

    Zindgi Ke Is Mod Pe Tum Aake Humse Yun Mile,
    Jaise Ki Koi Manzil Mere Itne Paas Hai;

    Ek Nazar Ki Aas Mein Taakta Hun Main Tujhe,
    Ab Dekh Tere Khatir Ek Aashiq Udaas Hai!
  • Justju Jiski Thi Usko:

    Justju Jiski Thi Usko Toh Na Paya Humne,
    Iss Bahaane Magar Dekh Li Duniya Humne;

    Tujhko Ruswa Na Kiya Khud Bhi Pashemaan Na Hue,
    Ishq Ki Rasm Ko Iss Tarah Nibhaya Humne;

    Kab Mili Thi Kahan Bichhadi Thi Humein Yaad Nahi,
    Zindagi Tujh Ko Toh Bas Khwab Mein Dekha Humne;

    Ai Ada Aur Sunaye Bhi Toh Kya Haal Apna,
    Umra Ka Lamba Safar Tay Kiya Tanha Humne!
  • Chalne Bhi Do Ye Qissa:

    Chalne Bhi Do Ye Qissa Abhi Kuch Din Aur,
    Rehne Do Rasm-e-Wafa Abhi Kuch Din Aur;

    Aankhon Mein Hain Uske Khwab Abhi Taza-Taza,
    Na Dekhna Gair Ko Gawara Abhi Kuch Din Aur;

    Dil Ki Barbadiyon Mein Bhi Hain Lazztein Ishq Ki,
    Mujhe Na Hai Hona Achha Abhi Kuch Din Aur;

    Main Jaanta Hun Tum Tagaful Hi Karoge Barha,
    Phir Bhi Chahta Hun Kehna Abhi Kuch Din Aur;

    Tumhein Gar Raas Hai Barbadi Dil Ki To Phir,
    Chalne Do Ye Silsila Abhi Kuch Din Aur!
  • Kab Uska Visaal:

    Kab Uska Visaal Chahiye Tha,
    Bas Ek Khayaal Chahiye Tha;

    Kab Dil Ko Jawaab Se Gharaz Thi,
    Honthon Ko Sawaal Chahiye Tha;

    Shauq Yeh Nafas Tha Aur Wafaa Ko,
    Paas-e-Mah-o-Saal Chahiye Tha;

    Ek Chehra-e-Sadaa Tha Jo Hum Ko,
    Be-Misl-o-Misaal Chahiye Tha;

    Ek Karb Mein Zaat-o-Zindagii Hain,
    Mumkin Ko Mahaal Chahiye Tha!
    ~ Jon Elia
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT