Humein Bhi Aaj Hi Karna Tha Intezar Us Ka; Use Bhi Aaj Hi Sab Vaade Bhool Jaane The! |
Kaun Aayega Yahan Koi Na Aaya Hoga; Mera Darwaza Hawaon Ne Hilaya Hoga! |
Mit Ke Bhi Us Ki Justuju Hai Jo Jahan Mein Char-Su, Lega Kisi Jagah Qarar Udta Hua Ghubar Kya; Ho Chuki Khatam Sham-e-Gham Aankhon Mein Aa Chuka Hai Dum, Ab Bhi Mareez-e-Hijr Ko Un Ka Hai Intezar Kya! * Justuju: To look for lost object * Char-Su: In all the four directions |
Ab Ek Pal Ka Tughafil Bhi Seh Nahi Sakte; Hum Ahal-e-Dil Kabhi Aadi The Intezar Ke Bhi! *Tughafil: Laziness *Ahal-e-Dil: People of generous |
Muddat Sekhvab Mein Bhi Nahi Neend Ka Khayal; Hairat Mein Hun Ye Kis Ka Mujhe Intezar Hai! |
Tamam Umar Tera Intezar Hum Ne Kiya, Is Intezar Mein Kis Kis Se Pyaar Hum Ne Kiya; Talash-e-Dost Ko Ek Umar Chahiye Ai Dost, Ki Ek Umar Tera Intezar Hum Ne Kiya! |
Tere Aane Ki Kya Umeed Magar; Kaise Keh Dun Ki Intezar Nahi! |
Na-Umeedi Maut Se Kehti Hai Apna Kaam Kar; Aas Kehti Hai Thehar Khat Ka Jawab Aane Ko Hai! |
Shaam Dhalne Se Faqat Shaam Nahi Dhalti Hai; Umar Dhal Jaati Hai Jaldi Palat Aana Mere Dost! |
Thak Thak Ke Teri Raah Mein Yun Baith Gaya Hun; Goya Ki Bas Ab Mujh Se Safar Ho Nahi Sakta! |