Ab Bhi Barsat Ki Raaton Mein Badan Toota Hai; Jaag Uthti Hain Ajab Khwahishen Angdai Ki! |
Barsat Ke Aate Hi Tauba Na Rahi Baaki; Badal Jo Nazar Aaye Badli Meri Niyat Bhi! |
Barsaat Tham Chuki Hai Magar Har Shajar Ke Paas; Itna To Hai Ki Aap Ka Daman Bhigo Sake! |
Barfeeli Chattan Par Ped Khada Muskaye; Sara Mausam Sard Hai Jism Aag Barsaye! |
Ab Udaas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein; Is Tarah To Hota Hai Is Tarah Ke Kaamon Mein! |
Puchte The Na Kitna Pyaar Hai Tumhein Hum Se; Lo Ab Gin Lo Baarish Ki Ye Boonde! |
Agar Tum Ho To Ghabrane Ki Baat Thodi Hai; Zara Si Boonda-Bandi Hai Barsaat Thodi Hai! |
Baarish Aur Mohabbat Dono Hi Bahut Yaadgar Hote Hain; Farq Sirf Itna Hai Baarish Mein Jism Bheeg Jata Hai Aur Mohabbat Mein Aankhein! |
Mumkin Hai Yehi Dil Milane Ka Sabab Ho; Yeh Rutt Jo Humein Haath Milane Nahi Deti! |
Aasman Par Chha Gayi Ghata Ghor-Ghangor; Jaayein To Jaayein Kahan Virane Meinn Shor! |