Khansi Aur Hichki Ka Farq Gair Vaazeh Hota Hai; Awaam Ke Masihaaon Aur Khuda Ke Vakeelon Ko Muakkil Aur Dastaane Nahi Milte! |
Tum Parindon Se Zyada To Nahi Ho Azaad; Shaam Hone Ko Hai Ab Ghar Ki Taraf Laut Chalo! |
Dost Gham Khwari Mein Mere Se Farmavenge Kya; Zakhm Ke Bharne Talak Nakhun Na Badh Javenge Kya! |
Nigah-e-Bad-Guman Hai Aur Main Hun, Fareb-e-Aashiyan Hai Aur Main Hun; Shareek-e-Be-Kasi Aaye Kahan Se, Zameen Par Aasman Hai Aur Main Hun! |
Dair Ho Kaaba Ho Ki Dil Kis Mein Vo Jalwa-Gar Nahi, Dekh Sakun Magar Use Itni Meri Nazar Nahi; Kunj-e-Qafas Mein Andalib Muztar-o-Bekas-o-Gharib, Kehne Ko Bal-o-Par To Hain Udne Ko Bal-o-Par Nahi! |
Aurat Ke Khuda Do Hain Haqiqi O Majazi; Par Us Ke Liye Koi Bhi Achha Nahin Hota! |
Kya Lene Su-e-Jah-o-Hasham Jayenge, Kya Dene Sar-e-Ku-e-Karam Jayenge; Aakhir To Kahin Dair Ki Niklegi Raah, Jayenge To Kaabe Hi Ko Hum Jayenge! |
Bichhi Hui Hai Bisat Kab Se, Zamana Shatir Hai Aur Hum; Is Bisat Ke Zisht-o-Khub-Khanon Mein, Dast-e-Nadida Ke Isharon Pe Chal Rahe Hain! *Bisat:Expanse, Dast-e-Nadida : Unseen Hand |
Jala Ke Mishaal-e-Jaan Hum Junoon-Sifat Chale, Jo Ghar Ko Aag Lagaye Hamare Saath Chale; Dayar-e-Sham Nahi Manzil-e-Sahar Bhi Nahi, Ajab Nagar Hai Yaha Din Chale Na Raat Chale! |
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Jee Chahta Hai, Aisi Tanhayi Ki Mar Jaane Ko Jee Chahta Hai; Ghar Ki Vehshat Se Larazta Hun Magar Jaane Kyon, Shaam Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Jee Chahta Hai! |