Ye Soch Ke Maa Baap Ki Khidmat Mein Laga Hun; Is Ped Ka Saaya Mere Bachchon Ko Milega! |
Izhaar-e-Ishq Us Se Na Karna Tha 'Shefta'; Ye Kya Kiya Ki Dost Ko Dushman Bana Diya! |
Baap Ka Hai Fakhr Wo Beta Ki Rakhta Ho Kamaal; Dekh Aaine Ko Farzand-e-Rashid-e-Sang hai! *Farzand-e-Rashid-e-Sang: Son of good stone |
Bahut Ji Khush Hua 'Hali' Se Mil Kar; Abhi Kuch Log Baaqi Hain Jahaan Mein! |
Shehron Ka Yun Veeran Hona Kuch Yun Gazab Kar Geya; Barson Se Pade Gumsum Gharon Ko Aabad Kar Geya! |
Kuch Rishte Upar Bante Hain, Kuch Rishte Log Banate Hain; Woh Log Bahut Khaas Hote Hain, Jo Bina Rishte, Rishta Nibhaate Hain! |
Chhupe Chhupe Se Rehte Hain Sar-e-Aam Nahi Hua Karte; Kuch Rishte Bas Ehsaas Hua Karte Hain Unke Naam Nahi Hua Karte! |
Bade Anmol Hai Ye Khoon Ke Rishte, Inko Tu Bekaar Na Kar, Mera Hissa Bhi Tu Lele Bhai, Ghar Ke Aangan Me Diwaar Na Kar! |
Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi, Main Sab Se Chota Tha Ghar Mein Mere Hisse Mein Maa Aayi! |
Sabhi Rishte Gulabon Ki Tarah Khushboo Nahi Dete; Kuch Aise Bhi Toh Hote Hain Jo Kaante Chodd Jate Hain! |