Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi; Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi! |
Yahan Libas Ki Keemat Hai Aadmi Ki Nahi; Mujhe Gilas Bade De Sharab Kam Kar De! |
Aaj Pi Lene De Saaqi Mujhe Jee Lene De; Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi! |
Kisi Gul Ki Qaba Milti Nahi Tehriq Se Khali, Junoon Ne Le Ke Banti Hain Ye Kitni Dhajjiyan Mujh Se; Pila Saaqi Ki Reh Jaye Khumar-e-Kaif Ka Parda, Bas Ab Rukti Nahi Aati Hui Angdaiyan Mujh Se! *Khumar-e-Kaif: Exhilaration *Qaba: apparel, garment |
Log Kehte Hain Raat Beet Chuki, Mujh Ko Samjhao Main Sharabi Hun; Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi, Mere Naghmat Ko Andaaz-e-Nava Yaad Nahin! *Harf-e-Dua: Words of prayers *Andaaz-e-Nava: Style of voice |
Zahid Sharab Peene Se Kaafir Hua Main Kyon; Kya Dedh Chullu Paani Mein Imaan Beh Geya! |
Halat-e-Haal Ke Sabab Halat-e-Haal Hi Gayi, Shauq Mein Kuch Nahi Gaya Shauq Ki Zindagi Gayi ; Tera Firaq Jaan-e-Jaan Aish Tha Kya Mere Liye, Yaani Tere Firaq Mein Khoob Sharab Pi Gayi |
Wo Koi Jaam Pila Den To Na Jaane Kya Ho; Jin Ke Dekhe Hi Se Aankhon Mein Khumar Aa Jaaye! |
Tera Bada Hi Shukriya Pilaye Ja Pilaye Ja; Na Zikr Kar Hisab Ka Sharab La Sharab La! |
Dariya Mein Hai Sharab Ajab Ibtila Mein Hun; Main Bhi Husain Hi Ki Tarah Karbala Mein Hun! |