Abhi Raah Mein Kayi Mod Hain Koi Aayega Koi Jayega; Tumhein Jis Ne Dil Se Bhula Diya Use Bhulne Ki Dua Karo! |
Aashiqui Mein Bahut Zaruri Hai, Bewafai Kabhi Kabhi Karna! |
Hai Ajeeb Shehar Ki Zindagi Na Safar Raha Na Kayaam Hai, Kahin Karobaar Si Dopehar Kahin Badmizaaz Si Shaam Hai! |
Har Saal Zard Phoolon Ka Ek Qafila Ruka; Us Ne Jahan Pe Dhool Aate Paaon Dhoye The! Zard: Yellow |
Parakhna Mat Parakhne Mein: Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahi Rehta, Kisi Bhi Aaine Mein Der Tak Chehra Nahi Rehta; Bade Logon Se Milne Mein Hamesha Faansla Rakhna, Jahan Dariya Samandar Mein Mile Dariya Nahi Rehta; Hazaaron Sher Mere So Gaye Kaghaz Ki Qabron Mein, Ajab Maa Hun Koi Bachha Mera Zinda Nahi Rehta; Tumhara Shehar Toh Bilkul Naye Andaaz Wala Hai, Hamare Shehar Mein Bhi Koi Hum Sa Nahi Rehta; Mohabbat Ek Khushbu Hai Hamesha Saath Chalti Hai, Koi Insaan Tanhayi Mein Bhi Tanha Nahi Rehta; Koi Baadal Hare Mausam Ka Phir Elaan Karta Hai, Khiza Ke Baag Mein Jab Ek Bhi Patta Nahi Rehta! |
Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Banaane Mein; Tum Taras Nahi Khaate Bastiyan Jalaane Mein! |
Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jaayega! |
Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Banaane Mein, Tum Taras Nahi Khate, Bastiyaan Jalaane Mein; Aur Jaam Tootenge Is Sharaab-Khaane Mein, Mausmon Ke Aane Mein, Mausmon Ke Jane Mein; Har Dhadakkate Patthar Ko Log Dil Samajhte Hain, Umr Beet Jaati Hai, Dil Ko Dil Banane Mein; Fakhtaa Ki Mazboori Yeh Bhi Keh Nahi Sakti, Kaun Saanp Rakhta Hai Uske Aashiyane Mein; Doosri Koi Ladki Zindgi Mein Aayegi, Kitni Der Lagti Hai Usko Bhool Jaane Mein! |
Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain; Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain; Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro; Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain; Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda; Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain; Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije; Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain! |
Koi Kaanta Chubha Nahi Hota; Dil Agar Phool Sa Nahi Hota; Kuch To Majabooriyan Rahi Hongi; Yun Koi Bewafa Nahi Hota; Guftagu Un Se Roz Hoti Hai; Muddaton Saamana Nahi Hota; Jee Bahut Chahta Sach Bole; Kya Karein Haunsala Nahi Hota; Raat Ka Intezar Kaun Kare; Aaj Kal Din Mein Kya Nahi Hota! |