Kis Ne Mujhko Sada Dee Bata Kaun Hai; Ai Hawa Tere Ghar Mein Chhupa Kaun Hai; Baarishon Mein Kisi Ped Ko Dekhna; Shaal Odhe Hue Bheegta Kaun Hai; Main Yahan Dhoop Mein Tap Raha Hun Magar; Wo Paseene Mein Doobaa Hua Kaun Hai; Aasmano Ko Humne Bataya Nahi; Doobti Shaam Mein Doobta Kaun Hai; Khushbun Mein Nahayi Hui Shaakh Par; Phool-Sa Muskurata Hua Kaun Hai; Dil Ko Patthar Hue Ik Zamana Hua; Is Makaan Mein Magar Bolta Kaun Hai; Tum Bhi Mazboor Ho Hum Bhi Mazboor Hain; Bewafa Kaun Hai Bawafa Kaun Hai! |
Main Thak Geya Hun Bahut Shayadaar Pedon Se; Zara Si Dhoop Bichhakar Qayam Karta Hun! |
Mohabbaton Mein Dikhave Kee Dosti Na Mila; Agar Gale Nahi Milata To Haath Bhi Na Mila; Gharon Pe Naam The, Naam Ke Saath Ahude The; Bahut Talaash Kiya Koi Aadmi Na Mila; Tamaam Rishton Ko Main Ghar Pe Chhod Aaya Tha; Phir Iske Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila; Bahut Ajeeb Hai Ye Kurbaton Kee Doori Bhi; Wo Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila; Khuda Kee Itni Badi Kayanaat Mein Maine; Bas Ek Shakhs Ko Maanga Mujhe Wahi Na Mila! |
Mil Bhi Jaate Hain Toh Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain; Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain; Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro; Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain; Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda; Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain; Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije; Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain! |
Socha Nahi Achha Bura Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi; Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi; Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe; Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi; Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar; Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi; Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak; Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi; Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega; Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi; Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan; Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi! |
Sar Jhukaoge To... Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega; Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega; Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega; Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya; Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega; Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto; Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega; Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar; Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega! |
Mil Bhi Jaate Hain To Katra Ki Nikal Jaate Hain; Hai Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain; Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaroo; Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain! |
Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha; Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahin Dekha; Be-Waqt Agar Jaunga Sab Chaunk Padenge; Ek Umar Hui Din Mein Kabhi Ghar Nahin Dekha! |
Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega; Magar Kaun Tumhari Tarah Mujh Ko Chahega; Tumhein Zaroor Koi Chahaton Se Dekhega; Magar Wo Aankhein Hamari Kahan Se Layega! |
Musafir Ke Raaste Badalte Rahe; Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe; Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha; Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe; Mere Raaste Mein Ujala Raha; Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe; Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya; Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe; Mohabbat Adavat Wafa Berukhi; Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe; Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi; Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe; Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye; Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe! |