Aisa Lagta Hai Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho; Ajnabi Jaise Ajnabi Tum Ho; Ab Koi Aarzoo Nahi Baki; Just-Ju Meri Aakhiri Tum Ho; Main Zameen Par Ghana Andhera Hun; Aasmano Kee Chandni Tum Ho; Doston Se Wafa Kee Ummeedein; Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho! |
Udas Aankhon Se Aansu Nahi Nikalte Hain; Ye Motiyon Kee Tarah Sipiyon Mein Palte Hain; Ghane Dhuen Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hain; Tamam Raat Khajuron Ke Ped Jalte Hain; Main Shah Reh Nahin, Raste Ka Pathar Hun; Yahan Sawar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain; Unhe Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hun; Wo Log Phool Samajhkar Mujhe Masalte Hain; Ye Ek Ped Hai, Aa Iss Se Milkar Ro Lein Hum; Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain; Kai Sitaron Ko Main Janata Hun Bachpan Se; Kahin Bhi Jaun Mere Saath Saath Chalte Hain! |
Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta ho Jayega! |
Jab Raat Kee Tanhayi Dil Ban Ke Dhadakti Hai; Yaadon Ke Jharokhon Mein Chilman Si Sirakti Hai; Lobaan Mein Chingari Jaise Koi Rakh Jaye; Yun Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai! |
Jis Din Se Chala Hu Meri Manzil Pe Nazar Hai; Aankho Ne Kabhi 'Mile' Ka Patthar Nahi Dekha! |
Sar Jhukaoge To... Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega; Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega; Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega; Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya; Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega; Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto; Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega; Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar; Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega! |
Socha Nahi Achha Bura Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi; Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi; Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe; Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi; Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar; Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi; Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak; Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi; Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega; Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi; Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan; Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi! |
Woh Chandni Ka Badan Woh Chandni Ka Badan Khushabuon Ka Saya Hai; Bahut Azeez Hume Hai Magar Paraya Hai; Utar Bhi Aao Kabhi Aasman Ke Zeene Se; Tumhein Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai; Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se; Khudaa Kisi Kee Mohabbat Pe Muskuraya Hai; Use Kisi Kee Mohabbat Ka Aitbar Nahi; Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai; Tamam Umar Mera Dum Uske Dhuein Se Ghuta; Woh Ik Chirag Tha Maine Use Bujhaya Hai! |
Na Tum Hosh Mein Ho Na Hum Hosh Mein Hain; Chalo Maikade Mein Wahin Baat Hogi! |
Woh Bhi Bahut Akela Hai Shayad Meri Tarah; Uss Ko Bhi Koi Chahne Wala Nahi Milaa! |