Khuda Hum Ko Khuda Hum Ko Aisi Khudayi Na De; Ki Apne Siwa Kuch Dikhayi Na De; Khatawar Samjhey Gi Duniya Tujhe; Ab Itni Zayada Safai Na De; Hanso Aj Itna Ki Is Shor Me; Sada Siskiyon Kee Sunayi Na De; Ghulami Ko Barkat Samjhney Lagein; Aseeron Ko Aisi Rihayi Na De; Khuda Aise Ehsas Ka Naam Hai; Rahe Sahmne Aur Dikhayi Na De; Mujhe Aisi Jannat Nahi Chahiye; Jahan Se Madina Dikhayi Na Dey! |
Doosron Ko Hamari Doosron Ko Hamari Sazaayen Na De; Chandni Raat Ko Bad'duyain Na De; Phool Se Aashiqui Ka Hunar Seekh Le; Titliyan Khud Rukein Gee Sadayen Na De; Motiyon Ko Chupaa Sipiyon Ki Tarah; Bewafaon Ko Apni Wafayen Na De; Main Bikhar Jaaon Aansuon Ki Tarah; Is Qadar Pyar Se Bad'duyain Na De! |
Main Thak Geya Hu Bahut Shaayadaar Pedon Se; Zara Si Dhoop Bichhakar Qayaam Karta Hu! |
Phool Sa Kuch Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi; Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi; Us Ki Zulfien Bahut Ghaneri Hain; Ek Shab Ka Qayam Or Sahi; Zindagi Kay Udaas Qissey Hain; Ek Ladki Ka Naam Or Sahi; Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlien; Qatal Ki Ek Sham Or Sahi; Kapkapati Hai Rat Seeney Me; Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi! |
Phool Sa Kuch Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi; Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi; Us Ki Zulfein Bahut Ghaneri Hain; Ek Shab Ka Qayam Or Sahi; Zindagi Kay Udaas Qissey Hain; Ek Ladki Ka Naam Or Sahi; Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlein; Qatal Ki Ek Sham Or Sahi; Kapkapati Hai Raat Seeney Mein; Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi! |
Koi Naa Jaan Saka Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha; Aur Us Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyon Milaya Tha; Yeh Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin; Makaa'n Chota Tha Lekin Bohat Sajaya Tha; Woh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahin Jate; Main Jis Ke Sath Yahan Pichle Saal Aya Tha; Suna Hai Us Pe Chehekne Lage Hain Parindey Bhi; Woh Aik Pau'daa Jo Hum Ne Kabhi Lagaya Tha; Chiragh Doob Gaye Kapkapaye Honton Par; Kisi Ka Hath Hamare Labo'n Tak Aya Tha; Badan Ko Chorr Ke Jana Hai Aasman Ki Taraf; Samundro'n Ne Humein Yeh Sabaq Parhaya Tha; Tamam Umar Mera Dam Isi Dhuyein Mein Ghutta; Woh Ik Chiragh Thaa Maine Usey Bhujaya Tha! |
Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki; Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Ki! |
Woh Bhi Bohat Akela Hai Shayed Meri Tarah; Us Ko Bhi Koi Chahney Wala Naheen Milaa! |
Tum Raah Mein Chupp Chaap Kharrey Ho To Gaye Ho; Kis Kis Ko Batao Gey Ghar Kyun Naheen Jaatey! |
In Aankhon Se Din In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogii; Agar Zindagii Sarf-E-Jazbaat Hogii; Musaafir Ho Tum Bhii, Musaafar Hain Ham Bhii; Kisii Mod Par Phir Mulaaqaat Hogii; Sadaaon Ko Alfaaz Milne Na Paayen; Na Baadal Ghirenge Na Barsaat Hogii; Chiraagon Ko Aankhon Men Mahfuuz Rakhnaa; Badii Duur Tak Raat Hii Raat Hogii; Azal Taa Abd Tak Safar Hii Safar Hai; Kahiin Subah Hogii Kahiin Raat Hogii! |