Dil Geya Tumne Liya Hum Kya Karen; Jaane Wali Cheez Ka Gham Kya Karen; Hum Ne Mar Kar Hijr Mein Payi Shifa; Aise Achhon Ka Maatam Kya Karen; Apne Hi Gham Se Nahi Milti Najaat; Is Binaa Par Fikr-E-Aalam Kya Karen; Ek Saaghar Par Hai Apni Zindagi; Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen; Kar Chuke Sab Apni Apni Hikamtein; Dum Nikalta Ho To Humdum Kya Karen; Kehte Hain Ahl-E-Sifarish Mujh Se 'Daag'; Teri Kismat Hai Buri Hum Kya Karen! |
Dil Mein Sama Gayi Hain Qayamat Kee Shokhiyan; Do-Chaar Din Raha Tha Kisi Kee Nigah Mein! |
Gazab Kiya, Tere Vaade Pe Aitbaar Kiya; Tamaam Raat Qayamat Ka Intezar Kiya; Hansa Hansa Ke Shab-e-Vasl Ashkbaar Kiya; Tasaliya Mujhe De De Ke Beqaraar Kiya; Hum Aise Mahv-e-Nazara Na The Jo Hosh Aata; Magar Tumhare Tagaful Ne Hoshiyar Kiya; Fasana-e-Shab-e-Gham Unko Ek Kahani Thi; Kuch Aitabaar Kiya Aur Kuch Na-Aitabaar Kiya; Ye Kisne Jalwa Hamare Sar-e-Mazaar Kiya; Ki Dil Se Shor Utha, Haaye! Beqaraar Kiya; Tadap Phir Ai Dil-e-Nadan, Ki Gair Kehte Hain; Aakhir Kuch Na Bani, Sabr Ikhtiyaar Kiya; Kuch Aage Daawar-e-Mahshar Se Hai Umeed Mujhe; Kuch Aap Ne Mere Kehne Ka Aitabaar Kiya! |
Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale; Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale; Ek To Husn Bala Us Pe Banawat Aafat; Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale! |
Rahega Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe; Ki Ibtidaa Mein Hue Ranj Intihaa Ke Mujhe; Diye Hain Hijar Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe; Shab-e-Firaaq Ne Mara Litaa Litaa Ke Mujhe! |
Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Ranj Bhi Aise Uthaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Jo Zamane Ke Sitam Hain Wo Zamana Jaane; Tu Ne Dil Itne Sataye Hain Ki Jee Jaanta Hai! |
Tumhare Khat Mein Naya Ek Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha; Na Tha Raqeeb To Aakhir Woh Naam Kiska Tha; Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha; Muqeem Kaun Hua Hai Maqaam Kiska Tha; Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege; Tumhe Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kiska Tha; Woh Katl Karke Har Kisi Se Puchte Hain; Yeh Kaam Kisne Kiya Yeh Kaam Kiska Tha; Guzar Geya Woh Zamana Kahein To Kis Se Kahein; Khyaal Dil Ko Mere Subah-o-Shaam Kiska Tha; Har Ek Se Kehte Hain Kya 'Daag' Bewafa Nikala; Ye Puche Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha! |
Milate Ho Usi Ko Khaak Mein, Jo Dil Se Milta Hai; Meri Jaan Chahane Wala, Badi Mushkil Se Milta Hai! |
Thak Thak Ke Band Hote Hain Chasme Intezar; Aata Hai Sab Ko Khyal Tumhare Khyal Se! |
Baat Karte Hain Khushi Kee To Ek Ranj Ke Sath; Woh Hansate Bhi Hain Ke Rula Dete Hain! |