Aafat Kee Shokhiyan Hain Aafat Kee Shokhiyan Hain Tumhari Nigah Mein; Mehshar Ke Fitane Khelte Hain Jalwa-Gaah Mein; Woh Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain; Main Shaad Hoon Ke Hoon To Kisi Kee Nigah Mein; Aati Baat Baat Mujhe Yaad Baar Baar; Kehta Hoon Daud Daud Ke Qaasid Se Raah Mein; Iss Tauba Par Hai Naaz Mujhe Zaahid Iss Qadar; Jo Toot Kar Shareek Hoon Haal-E-Tabaah Mein; Mushtaaq Iss Ada Ke Bahut Dard-Mand The; Ai Daag Tum To Baith Gaye Ek Aah Mein! |
Lutf Wo Ishq Mein Paaye Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Ranj Bhi Aise Uthaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Jo Zamaane Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaane; Tu Ne Dil Itne Sataaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Muskurate Hue Woh Mazmaa-e-Agyaar Ke Saath; Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayi Dono Aankhein; Aise Jalwe Nazar Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaare Dushman; Is Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Kooche Se; Is Tarah Kheench Ke Laaye Hain Ki Jee Jaanta Hai! |
Ajab Apna Haal Hota Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-e-Yaar Hota; Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota; Na Mazaa Hai Dushmani Mein Na Hai Lutf Dosti Mein; Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota; Yeh Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti; Na Tumhein Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota; Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte; Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota! |
Ranj Ki Jab Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi; Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi; Chahye Paighambar Dono Taraf; Lutf Kya Jab Du-Ba-Du Honay Lagi; Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi; Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi; Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar; Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi; Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho; Phir Hamari Justajuu Honay Lagi; `Daagh` Itraaye Huey Phirtay Hain Aaj; Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi! |
Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha; Muqeem Kaun Hua Hai, Maqaam Kiss Ka Thaa! |
Ranj Ki Jab Guftaguu Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi; Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi; Chahye Paighambar Dono Taraf; Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi; Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi; Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi; Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar; Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi; Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho; Phir Hamari Justajuu Honay Lagi; 'Daagh' Itraaye Hue Phirtay Hain Aaj; Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi! |
Pukarti Hai Khamoshi Meri Fugan Ki Tarah; Nigahein Kehti Hain Sab Raz-e-Dil Zuban Ki Tarah; Jala Ke Dag-e-Mohabbat Ne Dil Ko Khak Kiya Bahar; Ai Mere Bag Mein Khizan Ki Tarah! |
Ye Jo Hai Hukm Mere Pas Na Aye Koi; Iss Liye Ruth Rahe Hain K Manaye Koi; Taak Mein Hai Nigah-e-Shauq Khuda Khair Kare; Samane Se Mere Bachta Hua Jaye Koi! |
Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jane; Kyon Hai Aisa Udas Kya Jane; Keh Diya Main Ne Hale Dil; Apna Is Ko Tum Jano Ya Khuda Jane! |
Rahe Ga Ishq Tera Khaak Rahe Ga Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe; Ke Ibtidaa Mein Huye Ranj Intihaa Ke Mujhe; Diye Hain Hijar Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe; Shab-e-Firaaq Ne Maara Litaa Litaa Ke Mujhe; Baghair Maut Ke Kis Tarah Koi Marta Hai; Mera Raqeeb Bhi Roya Galey Laga Ke Mujhe; Har Ik Shakhss Ko Haasil Judaa Hai Kefiyat; Jafaa Ke Lutf Tujhe Hain, Mazey Wafaa Ke; Ghazab Ki Aah Meri, Daagh Naam Hai Mera; Tamaam Sheher Jalaao Ge Kya Jalaa Ke Mujhe! |